Subscribe

Ek muddat hui dil ko sataati rahi teri yaad

Date December 10, 2007

ek muddat hui dil ko sataati rahi teri yaad
ansoo ban lahu mein ghul jaati rahi teri yaad

subah ko lalima ban chhaa jaati rahi teri yaad
dhoop mein saya ban saath chalti rahi teri yaad

dopahar ko chhaya ban taaseer dilaati rahi teri yaad
shaam ko hawa ka jhonka ban lubhaati rahi teri yaad