Suno aisa nahin kartey
Safar tanha nahin kartey
suno aisa naihn kartey
Jo dhun ho kar ghuzarney ki
tu phri socha nahin kartey
Teri aankhon ko parhty hain
tujhey dekha nahin kartey
Chalo tum raaz ho apna
tumhain afsha nahin kartey
Safar jis ka muqadar ho
usey roka nahin kartey
Bohat ujrey hoye ghar per
bohat socha nahin kartey
Tumhari aankhain ijazat dain
tu hum kya kya nahin kartey
Kabhi hansney sey dartey hain
kabhi roya nahin kartey

Short URL: http://www.pakchannel.com/?p=801
Posted by SajjadNaveed
on May 30 2007. Filed under Uncategorized.
You can follow any responses to this entry through the RSS 2.0.
You can leave a response or trackback to this entry
















