Pehli Mohabbat Yaad Aati Hai

Door Ufaq ki Taareeki mein
Bijli Jab Bhi Lehraati hai
Shama Jalaatey Lamhey Aksar
Kamrey ke Ghup Andhyaarey mein
Pehli Mohabbat Yaad Aati Hai
Auto-Graph Tal’b karney Jab
Koi Haseena Ghar Aati Hai
Bari bari Aankhoo’n se jab Woh
Dekh ke Mujh ko Sharmaati Hai
Mazi mein Kho Jata hoo’n Main
Pehli Mohabbat Yaad Aati hai
Shaam Khizaa’n Jab Tanha Tanha
Baagh mein Sair ko Jaata hoo’n
Kisi Udaas si Larki ko Jab
Bench pe Tanha Pata hoo’n
Janey Kyon Yaad Aa Jata hai
Aik Khizaa’n ki Shaam ka Manzar
Jab Ham Dono Judaa Huye They !

Leave a Reply

BROWSE BY DATE
August 2010
M T W T F S S
« Jul    
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
3031  
Sponsers
Friends
Sponsors