Archive for June 13th, 2007

Chand khabi tu in taroon ki bheed say nikly

Chand khabi tu in taroon ki bheed say nikly,
aur meri khirki main aayee

bilkul tanha aur akela
main us ko bahoon main bher loon

aik hi sans main sab ki sab woh batain ker loon
jo mery talloo say chimttee hoiee

dil main simttee hoiee hain
sab khuch aisa hi ho jaye, ya jab hai na
chand meri khirki main ayye, tab hai na

Baad muddat kay

Bohat pyaar say,
Baad muddat kay,
Jab say kisi shakhs nay chand keh kar Bulaya hai,

Tab say,
Andhairon ki khugar nighahon ko,
Her roshni achi lagnay lagi hai..!!

Aansu

Aankhoon main aake ruk jatey hain aansu
palkon pe aake ruk jatey hain aansu

dil to buht kerta k inhain beh jane doon
par aapko hasta dekh sookh jatey hain aansu

BROWSE BY DATE
June 2007
M T W T F S S
« May   Jul »
 123
45678910
11121314151617
18192021222324
252627282930  
Sponsers
Friends
Sponsors