Archive for May 9th, 2007

Kabhi main yaad aaaon to

mujhay bus itna kehna hay,,,
kabhi main yaad aaaon to,,,

kabhi tanhai ki ratayn,,
tumhayn ziyadah satain to.

kabhi titli na bolay to,
aur jugno lout jaye to,,

kabhi jub dil bhi bher jaye,
koi jub sun na paye to,,,

ager sub dost sathi bhi ,,
jo tum say roth jayen to,,

kabhi jub khud say ler ler ker
thakan say choor ho jao,,

kabhi chahtay howay khud bhi
mujhay awaaz day dena,,

aur phir merey tasawwur say
jo chaho batain keh dena,,

merey kandhay pay sir rakh ker,
tum jitna chaho ro laina,,

phir khud mian jub loutjao to,
us hi dunya main chalay jana,,

mager bus itna kehna hay,,
kay jub bhi dukh ya khushiyun main,,

hamian DIL say pukaro gay,
hamain tum paas pao gay..

BROWSE BY DATE
May 2007
M T W T F S S
« Apr   Jun »
 123456
78910111213
14151617181920
21222324252627
28293031  
Sponsers
Friends
Sponsors