Archive for April 23rd, 2007

Mohabbat Thair Jaati Hai

Mohabbat Thair Jaati Hai…
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat daimi such hai
mohabbat thair jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota….
yeh hargiz kam nahin hoti…
MOHABBAT THAIR JAATI HAI…!!

Mohabbat Mar nahein sakti

Mohabbat Mar nahein sakti
Sitare toot bhi jayein
sumander sookh bhi jayin
zameen ki kookh k saab Astaray
rooth bhi jayin
saba,gul aur baharoon se kinara kar nahin sakti
MOHABAT MAR NAHIN SAKTI

zamana beet jaye ga
zamanay beet jate hain
Fana ki vadyoon main ,rooz mere geet jate hain
diloon ki khetyoon ko zeher de kar bar-ha
zalim k lashkar jeet jate hain

magar

nafrat ki tund-o-taiz zalim andhyoon main bhi
fiza main ik nani preet koil
daar nahin sakti
MOHABAT MAR NAHIN SAKTI

BROWSE BY DATE
April 2007
M T W T F S S
« Mar   May »
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  
Sponsers
Friends
Sponsors